Monday, December 6, 2010

Nusrat Fateh Ali Khan's Afreen



(husn-e-jana kee tarif mumkin nahee
afreen afreen afreen afreen...........
too bhee dekhe agar toh kahe hamnashi
afreen afreen afreen afreen...........) - (2)
husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2)

aisa dekha nahee khubsurat koyi
jism jaise ajanta kee murat koyi
jism jaise nigaho pe jadu koyi
jism naghma koyi, jism khushbu koyi
jism jaise machalti huyi ragini
jism jaise mehkati huyi chandni
jism jaise ke khilta huwa ek chaman
jism jaise ke suraj kee pehli kiran
jism tarsha huwa dikasho dilnashi
sandali sandali marmari marmari - (2)
afreen afreen afreen.......... - (4)
husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2)

chehra ek phul kee tarah shadab hai
chehra usaka hai, ya koyi mehtab hai
chehra jaise ghazal, chehra janey ghazal
chehra jaise kali, chehra jaise kanval
chehra jaise tasavar bhee, tasveer bhee
chehra ek khawab bhee, chehra tabeer bhee
chehra koyi alif laila kee dastan
chehra ek pal yakin, chehra ek pal guman
chehra jaisa ke chehra kahee bhee nahee
mahru mahru mehjabin mehjabin - (2)
afreen afreen afreen.......... - (4)
husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2)

ankhen dekhi toh mai dekhta rah gaya
jam du ore dono hee du atesha
ankhen ya makadi ki du bab hain
ankhen inako kahu, ya kahu khawab hain
ankhen niche huyi toh haya ban gayi
ankhen unchi huyi toh duwa ban gayi
ankhen uthakar jhuki to ada ban gayi
ankhen jhukakar uthi toh kada ban gayi
ankhen jinme hain asman aur jamin
nargisi nargisi surmayi surmayi - (2)
afreen afreen afreen.......... - (4)
husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2)

zulf-e-jana kee bhee lambi hai dastan
zulf kee mare dil par hai perchayiya
zulf jaise ke umadi huyi ho ghata
zulf jaise ke ho koyi kali bala
zulf uljhi toh dooniya pareshan ho
zulf suljhi to yeh did asan ho
zulf bikhri siyah rat chane lagi
zulf lehraye toh rat jane lagi
zulf zanjeer hai phir bhee hai kitni hasin
rashmi rashmi ambari ambari - (2)
afreen afreen afreen.......... - (4)
husn-e-jana kee tarif mumkin nahee
afreen afreen afreeeen afreeen..........
too bhee dekhe agar toh kahe hamnashi
afreen afreen afreen afreen...........
husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (4)

No comments:

Post a Comment